Uski khamosh nazron ko aaj bhi samajh nahi paaya,
Hua hai kuch aisa hadsa hamare saath bhi,
Uski aag ko aaj tak bhuja nahi paaya,
Kyu dil mein aaj bhi uski yaadein basi hai,
Juda hoke bhi usse juda ho nahi paaya…….
Na jane koun thi wo jo mujhe jina sikha gayi,
Meri dubti hui kashti ko kinare laga gayi,
Hamne socha tha ki beech samandar mein akele choda hai
Nazar utha k dekha toh wo sahil se mila gayi…….
Aaj
zindagi jeene ka salika hai par zindagi nahi,
Hothon
par muskurahat hai par khushi nahi…
Aakhon
mein neind hai par sapne nahi
Safar
hai par humsafar nahi,
Dil
hai par dhadkan nahi……
Aaj
Main hun par HUM nahi………
Shayad
yahi jeena hai,
Kuch
hasil karna kuch khona hai……
No comments:
Post a Comment