Monday, 18 March 2013

Ankahe Aarmaan




Chahat thi ki tujhe apna bana lenge hum,
Zindagi ko teri khushiyon se saja denge hum,
Sahte rahe har chot sedhe dil par apne,
Par teri yaadon par kaabu na pa sake hum,
Aaj bhi tere deedar ko taraste hai,
Teri khamosh nigahon mein kai saare ankahe aarmanon ko sunte hai,
Par takdeer se apni ab rubaru hue hai hum,
 jo haathon ki lakeeron mein nahi tha, usi ko khuda se maang rahe the hum...

Sunday, 17 March 2013

Tera Pyar ...




Tera pyar na hasil hua mujhe toh kya, bus tera deedar hi kaafi hai..
Zakham teri mohabbat ke bharne ke liye bus teri aawaz hi kaafi hai,
Chahat thi ki zindagi guzar denge uski ke hokar, par teri mohabbat mein ek tuta hua khwab hi kaafi hai..
Kar chale the hum us beraham par bharosa itna, uskibhi kuch lachariyan rahi hongi , yeh umeed abhi bhi dil mein baaki hai...
Ab thak chuka hun teri rah mein jag kar main bhi, tune jeena sikhaya mujhe bus yeh ehsaan hi kaafi hai...
Teri mohabbat ne diye hai kai sitam mujhe, mohabbat ki kitab mein mera naam bus itna inam kaafi hai....