Tuesday, 22 September 2015

Tumhe Rula Ke



Tumhe rula ke aansu mere bhi nahi rukte
Dur reh ke tumse din mere bhi nahi kat te

Cahta hun khush rakhna tumhe hamesha
Kismat ki baat hai ki shabd meri chahat se nahi milte
Tumhe rula k aansu...

Khud mein basa k rakha hai tum ko dil k har kone mein..
Na jaane kyu tumhe pyar k wo lamhe nahi dikhte

Kismat se chura k laya hun tumhe, halaat se takrakar paya hun tumhe... 
Ab is duniya mein tum jaise farishte bhi toh nahi milte...
Tumhe rula k aansu...

Insaan hun main insaan hi maan lo, bohot pyar karta hun tumhe bus itna jaan lo...
Har kadam tumhara saath hun yeh bhi maan lo... 
Khush kismat hun main, Tum jaise humsafar sab ko nahi milte...
Tumhe rula k aansu.....