Chand saansein baaki hai
abhi,
kuch khwab adhure hai abhi…
Jo wade kiye the maine unhein poora hone mein waqt hai
abhi….
Tum chaho toh kuch din aur dua maang lo apne khuda se….
Mujh mein Kuch jaan baaki hai abhi…..
Har din khud ko jalata hun main,
Fir raat k nashe mein khud ko bujhata hun main,
Fir bhi teri yaadon ki garmi baaki hai abhi…
Tujhse door jana chahte hun main,
tujhe yaadoon se mita dena chahte hun main,
Par kya karu tujhe yaad kiya hai abhi….
Tere naam ko bhulaun bhi toh kaise, kaise us khuda se
fariyad karun,
Bhul jane ki dua mein bhi tera naam aaya hai abhi…
Labon pe hasi hai
aankhon mein name hai …
Shyad fir koi dil roya hai abhi…..
Chand saasein baaki hai abhi......