Har roz zindagi se khel raha hun main,
Na chahte hue bhi bus jee raha hun main…
Tute hai dil kai tute hai sapne kai,
Un sapnon ko aaj tak samet raha hun main..
Na chahte hue bhi bus jee raha hun main…
Tere jaane ke baad bhi tujhe bhula na saka hun main,
Teri yaadon ke sahare bus jee raha hun main,
Yun toh tum ab bhul chuki ho mujhe,
Par tere wajood ko apne saath liye ghum raha hun main,
Na chahte hue bhi bus jee
raha hun main…
Teri us ek galti ki saza aaj tak bhugat raha hun main,
Teri naadan hasi mein apni khushi dhund raha hun main,
Tu kaatil hai yeh sabit nahi kar sakta…
Maar kar bhi bus jee raha hun main….
Har roz zindagi se khel raha hun main,
Na chahte hue bhi bus jee raha hun main….
No comments:
Post a Comment